Kanz e Aza

kehti thi sakina kya baba nahi ayenge

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), recited by Anjuman e Hyderia. Lyrics in Roman Urdu.

kehti thi sakina kya baba nahi aayenge

ab shimr satayega baba nahi ayenge

baba mujhe nind ayegi hargiz nahi tanha

jalti ye zamee'n aur kaha aap ka seena


daaman me mere aag lagi jalte hai qaime aur pyas ki shiddat ko badha dete hai shole

pani kahan milega

bin apke baba mai bhala kaise jiungi

asghar ko rakha paas hui mujhse judaayi


ye gham bhi rulayega

baba mujhe godi me utha lijiye aakar

qoo'n kaanou se behta hai mere chin gaye gouhar

mujh par hai sitam kaisa


is des me purse ke hai andaaz niraale

zalim mujhe maare hai tamachou pa tamache

har gaam par hai rona

zalim phupi amma ki rida le gaye aakar


roti hai sabhi bibiya hai sabke khule sar

hum hogaye beparda

chayi hai yateemi ki bala sar pe jo mere

ghera hai andherou ne mujhe sham se pehle


ab dardo gham hai sehna

abbas chacha jaan lahu me hai nahaye

be dast alamdar hai kis tarha wo aaye

dil toot gaya mera