Kanz e Aza

khaa gaye shaam ke zinda'n me andhere baba

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

azadaro'n dua maango koi aise yateem na ho

jaise sakina yateem hui

shaam ke zinda'n me jab sakina ko baba ka sar mila

lipta ke sar ko seene se bachi ne ye kaha

kha gaye sham ke zinda'n me andhere baba

kisko kehte hai yateemi ye suna tha maine

aap ke baad ye ehsaas hua hai baba


kha gaye sham ke....


aap ke baad yateemi ki saza paayi hai

itni tanha hu ke saaya hai na parchayi hai

raat ro ro ke guzarti hai to din matam me

qaid khane me yuhi'n saal kata hai baba


kha gaye sham ke....


zindagi meri dukho'n se hai ibarat baba

kaise qismat ne dihkhayi hai musibat baba

mai jo roti hoo to lagte hai tamachay baba

aap ki yaad me rona bhi saza hai baba


kha gaye sham ke....


ashk aankho'n se nikalte hai lahoo kano se

ab darindo se nahi khauf hai insano se

ek majboor yateema par sitam dhaate hai

meri taqdeer me durro ki jafa hai baba


kha gaye sham ke....


aap ki tarha se roothe hai ujaale baba

kaun zindan se ab mujhko nikaale baba

tumne maanga tha duao'n me khuda se jisko

ab wohi beti hai zinda'n me jafa hai baba


kha gaye sham ke....


kitne armaa'n the ke zinda'n se mai ghar jaungi

aisa lagta hai yahi'n ro ro ke marjaungi

ye sitamgaar sakina ko kafan kya denge

kya kafan aap ke laashe ko mila hai baba


kha gaye sham ke....


baba kehte hai ye zinda'n ke andhere mujhse

maut hi aayegi ab mujhko dilaase dene

meri har saans hi rehti hai sitam ki zad par

aise jeene se to marna hi bhala hai baba


kha gaye sham ke....


zakhm laakho'n hai kaleje me dikhau'n kaise

mujhpe jo beeth rahi hai wo batau'n kaise

pyas lagti hai to peeleti hoo aansu apne

shimr ke durre sakina ki ghiza hai baba


kha gaye sham ke....


lafz mazhar ne jo likhe hai lahoo rote hai

shadma'n qaak se yu ashke aza behte hai

aisa lagta hai ke zinda'n se sada aati hai

aisa nauha meri ghurbat pe likha hai baba


kha gaye sham ke....