Khaak Par Lashae shabbir Hai Aao Nana
kya Yehi Ajr-e-risalath Hai Batao Nana
1. Bhai Be Ghusl-0-kafan Dasht-e-bala Me Hai Pada
paas Mayyath Ke Udhane Ko Nahi Koi Rida
ab Koi Raah Nawasi Ko Dikhao Nana
2. Zulm Beemaar Pa Dhaane Ke Liye Aaye Hai
ashqiya Tauq Pinhane Ke Liye Aaye Hai
ghash Ke Aalam Me Hai Sajjad Bachao Nana
3. Koi Hamdard Nahi Koi Sahara Bhi Nahi
dashte Zulmath Me Koi Poochne Wala Bhi Nahi
ab Ghareeboun Pe Taras Aap Hi Khao Nana
4. Thak Ke Soye Hain Badi Der Me Pyase Bache
dashte Tareek Me Ab Koun Hai Jo Pehra De
mere Ghazi Mere Abbas Ko Lao Nana
5. Aap Ke Laal Pa Tooti Hai Qayamath Dekho
qatl Ke Baad Bhi Ummat Ki Adawat Dekho
laash Pamaali Ki Zad Par Hai Bachao Nana
6. Baap Ko Ro Nahi Sakti Hai Sakina Apne
sehmi Sehmi Si Hai Masoom Tamache Khaake
shimr Ke Zulm Se Bachi Ko Chudao Nana
7. Sar Pe Kunbe Ki Hifazat Ka Hai Zimma Pehle
saamna Shaam-e-ghareeba'n Ka Karungi Kaise
hausla Do Meri Himmat Ko Badao Nana
8. Hashr Rone Ki Sada Se Hai Andhere Bun Me
seena-e-shah Se Lipti Hai Sakina Run Me
baap Ki Laash Se Beti Ko Chudao Nana
9. Baandhne Aaye Hai Zaalim Mere Baazu Me Rasan
kab Se Awaaz Lagati Hai Musibat Me Behen
bhai Soya Lab-e-darya Hai Jagaao Nana
10. Bain Sadiq Ye Behen Ke The Larazti Thi Zamee'n
rone Wala Mere Bhai Pa Yahan Koi Nahi
aao Ab Farsh-e-aza Aake Bichao Nana.