khamosh hai dashte karbobala
ab koi nahi rone waala
maa karti hai aksar raaton ko
shabbir ke laashe par naala
aane do qayamat aane do
bolenge labe khudrat khud hi
ek bakshish e ummat ki khaatir
shabbir ne kya kuch de daala
khamosh hai dashte...
hai mashk e sakina kaandhe par
hoshiyar taraayi se aada
khaali na phirega darya se
darya ki taraf aane waala
khamosh hai dashte...
shabbir ki nusrat may tu ne
baysheer ki himmat dekhi hai
ay teer e sitam ye sach kehna
roya to nahi hasne waala
khamosh hai dashte...
shabbir ki nazrein peeri may
kis tarha ye manzar dekhegi
ay zulm ke baani soch to le
akbar ka kaleja aur bhaala
khamosh hai dashte...