Kanz e Aza

Khanjar Hai Sitamgaar

A noha written by Parvez. Lyrics in Roman Urdu.

khanjar hai sitamgaar ka pyase ka gala hai

zainab ghareeb dasht mein mashgool e buka hai


sar nange nabi zaadiyan darbar saja hai

afsos musalman badi sharm ki jaa hai

khanjar hai sitamgaar ka...


rehne do sar e zainab e muztar pe ye chadar

kuch sharm karo saani e zehra ki rida hai

khanjar hai sitamgaar ka...


maqtal mein shahe deen ka dil ho gaya tukde

naiza jo jawan laal ke seene mein dhasa hai

khanjar hai sitamgaar ka...


ghar baar diya shaah ne sar ko bhi kataya

kul ambiya jo kar na sake wo sheh ne kiya hai

khanjar hai sitamgaar ka...


ye khoon e hussain ibne ali ka hai maujiza

parvez suno haq ki azaano mein sada hai

khanjar hai sitamgaar ka...