khanjar talay ali ka laal
pyasa tadapta reh gaya
bano ka ek sagheer tha
sookhe galay par teer tha
baysheer tashna reh gaya
pyasa tadapta reh gaya
khanjar talay...
pamaal dulha jab hua
armaan khaak mein mila
maqtalmen naushah reh gaya
pyasa tadapta reh gaya
khanjar talay...
mashkeeza ran mein chid gaya
farkhe jari bhi shaq hua
abbas pyasa reh gaya
pyasa tadapta reh gaya
khanjar talay...
barchi jo akbar ko lagi
laila ke dil ko ched di
zakhmi kaleja reh gaya
pyasa tadapta reh gaya
khanjar talay...
wo naujawani ka safar
barchi ka phal lakhte jigar
dil mein andhera reh gaya
pyasa tadapta reh gaya
khanjar talay...
sajde mein sar hai pesh e rab
shukre khuda mein khole lab
khanjar bhi chalta reh gaya
pyasa tadapta reh gaya
khanjar talay...
iqbal wo zehra ka gham
sabir ke dil pe hai raqam
har baar naama reh gaya
pyasa tadapta reh gaya
khanjar talay...