Kanz e Aza

Run Mein Hawa ke

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Iqbal Abedi. Lyrics in Roman Urdu.

ran mein hawa ke jhonke nauha suna rahe hai

chaliye hussain chaliye qasim bula rahe hai


sarwar madad ko aao naushah e karbala ki

gulgoon badan pe ghode daudaye jaa rahe hai

ran mein hawa ke...


ran mein mile to kaise qasim ki laash unko

abbas kko shahe deen tukde dikha rahe hai

ran mein hawa ke...


ye karbala ki shadi dunya se hai niraali

mehman sab baraati pyase hi aa rahe hai

ran mein hawa ke...


shadi thi pal ki lekin sadiyon pe chayi dekho

ab tak zamane waale mehendi utha rahe hai

ran mein hawa ke...


taqseem ho chuke thay is darja ran mein qasim

sarwar abaa bicha kar laasha utha rahe hai

ran mein hawa ke...


ye karbala ka dulha ran mein shabab par tha

qasim ko dunya waale dulha bana rahe hai

ran mein hawa ke...


kubra ye keh rahi hai ye kaisi qayamat hai

dulhan bana ke hum ko bewa bana rahe hai

ran mein hawa ke...


beti hussain ki hoon aur hoon bahu hassan ki

phir bhi ye aada hum ko dar dar phira rahe hai

ran mein hawa ke...


daste hinaayi dekho paband hai rasan ki

zewar ke badle zaalim bedi pinha rahe hai

ran mein hawa ke...


bewa ye keh rahi hai kuch meri khabar le lo

dekho ye ahle kufa hum ko sata rahe hai

ran mein hawa ke...


nusrat mein shaahe deen ki iqbal dekho qasim

pyase hi aaye ran mein pyase hi jaa rahe hai

ran mein hawa ke...