mashkeeza ghazi bhara hai leke chullu mein furaat
sajde mein sarwar gaye jab asr ka hangaam tha
chal raha tha kund khanjar bas khuda ka naam tha
zainab e muztar ke lab par nauha subho shaam tha
mashkeeza ghazi bhara...
barchi khaye ran mein akbar teer khaye aur sagheer
berida ahle haram jab hogaye abid aseer
naiza par sar haye aqda aur thay farqe muneer
mashkeeza ghazi bhara...
dekh kar zulm o sitam aada ke mai tharra gayi
kya kahun sheh ki shahadat kis khadar tadpa gayi
haye wo bali sakina shimr se ghabra gayi
mashkeeza ghazi bhara...
bhai ki khatir behen maqtal mein roti aayi thi
dil ko thaame berida mai kya khun ghabrayi thi
jab chini sar se ridayein kis khadar sharmayi thi
mashkeeza ghazi bhara...
pani ki khatir huwe jaate thay bacche bad hawas
seh gaya jor o sitam ghazi mera tha sheh ka paas
thi alamdar e hussaini se badi zainab ko aas
mashkeeza ghazi bhara...
thi haram ko hazrat e abbas se dhaaras bandhi
baad e abbas e jari mujhko rasan baandhi gayi
bhai ke sookhe galay par shimr ne pheri churi
mashkeeza ghazi bhara...
haath karwa kar qalam likhi hai tareekh e wafa
nusrat e shabbir mein ghazi bhi shaane de gaya
jaan se pyara rakha gham hazrat e shabbir ka
mashkeeza ghazi bhara...
bhar chuka tha mashk mein pani na pani wo piya
nehr ke pani pe bhi saaya na uska hai pada
taa'at e shabbir mein shaamil huwe tan se juda
mashkeeza ghazi bhara...
hazrate abbas se zaahir tha ejaaz e ali
karbal mein saani e hyder tha dam saaz e ali
bhaag utha hai lashkar e keen sunke awaaz e ali
mashkeeza ghazi bhara...
ghaiz mein aaya jari jibreel ke shay par khule
kya jari ke maujize thay raaz lashkar par khule
maqsad e shabbir par abbas ke jauhar khule
mashkeeza ghazi bhara...
kis khadar bali sakina ko wo rakhta tha azeez
khair o shar ki hogayi karbobala mein ek tameez
uske gham mein roti thi fizza bhi zehra ki kaneez
mashkeeza ghazi bhara...
haye wo shaam e ghariban haye wo bazaar e shaam
thay layeeno ki zuban par bekason ke paak naam
ahlebaite mustafa thay aur nigaahe khaas o aam
mashkeeza ghazi bhara...
sabir o iqbal thay wo zainab e muztar ke bain
baad e abbas e ali jab chin chuka tha sab ka chain
pyase zibha hogaye zehra ke shaahe mashraqain
mashkeeza ghazi bhara...