abbas jald aao marjaaegi sakina
kab tak tamaache khaaye ye gham zada sakina
dooba hai behre gham me ab qalb ka safeena
kehti hai aisa jeena amma hai koi jeena
ek shamma bhi nahi hai zainab jise jalaaye
zindaa'n me meri bachi qamosh ho na jaaye
saahil pe sone waale aaja ke chain aaye
masoom ka gala bhi baandha gaya rasan se
takleef kaise dekhi jaaye teri behen se
hota hai shore girya zainab ke is suqan se
kis tarah mai bataau kya haal hai hamaara
deta hai shimr eeza roti hai besahara
masoom ke labo par bas naam hai tumhara
saahil pe kaise guzri abbas kya hua hai
bachi tadap rahi hai bas dam ruka hua hai
ek mashk pani leke aane me der kya hai
maara gaya hai bhai abbas tum na aaye
shaame ghareebaa'n aayi abbas tum na aaye
ye zulm ye tabaahi abbas tum na aaye
rota hai bekasi par ab bekasi ka aalam
kuch mout se nahi kam ye zindagi ka aalam
kaano ke zaqm bhi hai aur tashnagi ka aalam