abbas ka laasha mai nahi laaya sakina
laaya hoon tarayi se alam khoon mein dooba
abbas ka laasha mai nahi laaya sakina
baba se meri laadli naaraz na hona
abbas ka laasha mai nahi laaya sakina
jab khaali alam leke mai darya se chala tha
har ek qadam par mai yehi soch raha tha
phat jaaye na masoom sakina ka kaleja
jab apni dulaari se mai ye jaa ke kahunga
abbas ka laasha mai...
chalta hai kaleje pe mere dard ka khanjar
maara gaya pyasa mera mazloom baradar
malta hua haathon ko mai aaya hoon palat kar
ye dard mere dil se juda ho nahi sakta
abbas ka laasha mai...
mujhse tere ammu ne kaha tha meri pyari
abbas ki ye aakhri khwahish thi dulaari
le jaana na qaime ki taraf laash hamari
poori hui abbas e dilawar ki tamanna
abbas ka laasha mai...
chota na karo dil meri naadan sakina
qismat ka likha hai ye meri jaan sakina
tujh par ye tera baap ho qurban sakina
ye baat meri laadli dil mein nahi rakhna
abbas ka laasha mai...
abbas ke laashe ko tasavvur mein bana lo
jee bhar ke chacha jaan pe ashkon ko baha lo
ammu ka alam laaya hoon seene se laga lo
reh jaaye na ye dil mein khalaq ay meri dukhiya
abbas ka laasha mai...
dil par jo mere zakhm laga kaise bataun
is waqt mera haal hai kya kaise bataun
sadma jo mujhe aaj hua kaise bataun
ab dil mera har waqt isi gham se phatega
abbas ka laasha mai...
masoom sakina ko kaleje se laga kar
roye hai bahot dayr talak sibte payambar
kehte thay ki ab sabr karo ay meri dukhtar
maine wo kiya jo mere bhai ne kaha tha
abbas ka laasha mai...
waiz wo musibat ki badi sakht ghadi thi
masoom sakina dar e qaima pe khadi thi
aur laash alamdar ki darya pe padi thi
shabbir ke is bain se kohraam tha barpa
abbas ka laasha mai...