Kanz e Aza

Ay Abbas Teri Zainab

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

dukhiyari zainab ke labon par tha nauha

ay abbas teri zainab beparda hai


le jaate hai qaid mujhe kar ke aada

ay abbas teri zainab beparda hai


suraj ne jis ko na dekha beparda

usko nange sar dekhegi ab dunya

waqt ye kaisa ghurbat ka mujh par aaya

ay abbas teri zainab...


tu jab se jaa kar darya pe soya hai

saara kunba khoon ke aansu roya hai

jal gaye qaime chin gayi chadar ghar ujda

ay abbas teri zainab...


jis ke atthara bhai thay wo khwahar

qaidi ban kar khaati hai dar dar thokar

mujhko muqaddar ne kar daala hai tanha

ay abbas teri zainab...


qatl huye mere bete aur sab bhai

haye mujhe taqdeer kahan lekar aayi

kaun kare imdaad nahi koi apna

ay abbas teri zainab...


jab se suna hai aane waala hai bazaar

dard ki chalti hai mere dil par talwaar

waqt hai teri behna ke mar jaane ka

ay abbas teri zainab...


dil mera ghabrata hai kya hoga ab

bazaron se kaise guzregi zainab

chaaron jaanib na-mehram majma hoga

ay abbas teri zainab...


mai ek din jis kufe ki shehzadi thi

jaati hoon us shehr mein ban kar ke qaidi

ay ghazi ab phat jayega dil mera

ay abbas teri zainab...


ek jaisi hai maa aur beti ki ghurbat

dono ko darbar talak laayi qismat

farq hai itna parde mein thi maa zahra

ay abbas teri zainab...


ay waiz ek hashr ka manzar tha us dam

roke ali ye kehti thi zainab jis dam

sar hai khula baalon se chupaya hai chehra

ay abbas teri zainab...