ay alamdara ghazi abbasa
ay alamdara raasha zamarora
ghazi abbasa raasha zamarora
kaun bewaon ki chadar ko bachaye aa kar
laashe sab waali o waaris ke pade hai be-sar
meri awaaz pe koi nahi aata ghazi
hogayi dasht e bayaban mein tanha khwahar
ghazi abbasa ghazi abbasa raasha zama rora
ay alamdara...
zulm karte hai hamay tanha samajh kar aada
berida balwe mein rote hai haram wawaila
sar pe masoom sakina ke nahi dast e karam
chingaye uske gohar aag se daaman bhi jala
ghazi abbasa ghazi abbasa raasha zama rora
ay alamdara...
ay alamdar fughan lab pe sakina laaye
har taraf aag dhuan hai wo kahan par jaaye
ghurkiyan ranj o alam tashnalabi daagh e padar
suye darya na chali jaaye sakina haye
ghazi abbasa ghazi abbasa raasha zama rora
ay alamdara...
hum to aaye thay yahan tere sahare ghazi
tu magar sogaya darya ke kanare ghazi
bewatan tashna dahan maara gaya bhai mera
chin gayi chadarein ab sar se hamare ghazi
ghazi abbasa ghazi abbasa raasha zama rora
ay alamdara...
ay mere parde ke zaamin ay alamdar aaja
mere ghazi ay mere monis o ghamkhwar aaja
aake pardes mein bigda hai muqaddar mera
teri zainab ka nahi koi madadgaar aaja
ghazi abbasa ghazi abbasa raasha zama rora
ay alamdara...
teri hamsheer hai balwe mein khule sar ghazi
ab nahi koi mera monis o yawar ghazi
tere jaane se bharam toot gaya zainab ka
haye be-aas hui aale payambar ghazi
ghazi abbasa ghazi abbasa raasha zama rora
ay alamdara...
safdar e khasta jigar mera qalam bhi bhi roye
karbala roti rahi ahle haram bhi roye
bain karti thi ye abbas ki khwahar ran mein
sun ke faryad meri mashk o alam bhi roye
ghazi abbasa ghazi abbasa raasha zama rora
ay alamdara...