ay yadullah ke bedast pisar ay abbas
ay alamdare hussain
dhoondti hai tujhe har ek nazar ay abbas
ay alamdare hussain…
tu numa'inda ali ka hai sare karbobala
aur alam haq tera
tu madine se hai itrat ki sipar ay abbas
ay alamdare hussain…
jang karne ki ijazat na mili sarwar se
jaante thay anjaam
ye mashiyat hi rahi peshe nazar ay abbas
ay alamdare hussain…
hukm par shaah ke mashkeeza o naiza lekar
rukh kiya darya ka
tune samjhaya ata'at ka hunar ay abbas
ay alamdare hussain…
laash qaime may na lejaye khudara hargiz
sab se hoo sharminda
sheh se kehta tha tera deedae tar ay abbas
ay alamdare hussain…
ek maa roz dua karti hai bete ka amaan
sheh e deen bach jaye
to usi maa ka hai ek laqte jigar ay abbas
ay alamdare hussain…
tera sar bandh ke rumaal may jo rakha hai
kya sabab iska hai
kyun sina par nahi aaya tera sar ay abbas
ay alamdare hussain…
waqt shahid hai ke az karbobala ka ye sira
kya masaib guzre
tay hua kaise ye zainab ka safar ay abbas
ay alamdare hussain…