ay bekas o muztar ke wafadar alamdar
ay jaan o dil e hyder e karrar alamdar
zakhmon se badan choor hua jaata hai jaago
ay mere sipar mere wafadar alamdar
ay bekas o muztar...
ta umr mujhe tum ne bas aaqa hi kaha hai
bhai bhi to kehdo zara ek baar alamdar
ay bekas o muztar...
sone nahi deta tha jinhe khauf tumhara
ab chain se soyenge wo ashraar alamdar
ay bekas o muztar...
aankhon se lahoo poch ke shabbir pukare
bhai ka karo aakhri deedar alamdar
ay bekas o muztar...
parde ke tahaffuz ka kiya jinse tha waada
kya unse kahe zainab e lachaar alamdar
ay bekas o muztar...
abbas baradar ki ye ghurbat bhi to dekho
tanhaai hai aur sayyed e abraar alamdar
ay bekas o muztar...
us fauj ke marne ka yaqeen aaye to kaise
jis fauj ka tum jaisa ho jarraar alamdar
ay bekas o muztar...
ab raaton ko pehre pe bhala kaun rahega
abid hai faqad wo bhi hai bemaar alamdar
ay bekas o muztar...
hai yaad bilal aaj bhi baba ki wasiyat
shabbir se ab tak hai khabardar alamdar
ay bekas o muztar...