dono ki ajab hai mazloomi
ek dadi hai ek poti hai
ek dukhtare sheh hai
ek binte nabi
dadi bhi bhare darbar gayi
poti bhi sare bazaar gayi
dono ko mili hai mehroomi
ek dadi hai ek poti hai
ek dukhtare sheh hai...
dadi ka bhi pehlu choor hua
poti ka bhi dil ranjoor hua
dono ki hai phasli tooti hui
ek dadi hai ek poti hai
ek dukhtare sheh hai...
dono hi sidhaari ghut ghut kar
ro paye na apne baba par
dono ki musibat ek jaisi
ek dadi hai ek poti hai
ek dukhtare sheh hai...
dono ki fazeelat kya mai kahoon
ek baap ki maa ek sheh ka sukoon
dono ke hai mansab ibne jali
ek dadi hai ek poti hai
ek dukhtare sheh hai...
dono ko mile ye ranj o mehan
ghar ek ka jala ek ka daaman
dono ko ajab saughaat mili
ek dadi hai ek poti hai
ek dukhtare sheh hai...
sadiyon se judaai mit na saki
mar kar bhi rehaai mil na saki
dono hai ghamon mein qaid abhi
ek dadi hai ek poti hai
ek dukhtare sheh hai...
ek bibi pe ye zulm hua
ahmed ke khareeb sone na diya
ek seena e sheh se door hui
ek dadi hai ek poti hai
ek dukhtare sheh hai...
ek bibi ne ghar apna diya
ek bibi ne di apni rida
dono ne bachaya deene nabi
ek dadi hai ek poti hai
ek dukhtare sheh hai...
ay kaash bilal e karbobala
haasil ho tujhe irfan e aza
hai jiski musibat tune likhi
ek dadi hai ek poti hai
ek dukhtare sheh hai...