Kanz e Aza

Ek Dukhiyari Madar

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

ek dukhiyari maadar kehti hai ro ro kar

karbobala ke ban mein loota gaya mera ghar


mere jigar ke paare tadpe zer e khanjar

karbobala ke ban mein loota gaya mera ghar


chand jab maah e moharam ka nikal aata hai

dil azadaron ka seene mein machal jaata hai

chehra ghamkhwaron ka pal bhar mein badal jaata hai

khoone dil yaad mein pyason ki ubhal jaata hai

jab kehti hai dukhiya maa ye aahein bhar kar

karbobala ke ban mein...

ek dukhiyari maadar...


cheh mahine ka tha jo asghar e baysheer mera

teer e seh shoba usi laal ki gardan pe laga

baap ke haahton pe dam tod raha tha baccha

dekh kar suye falak rota tha sarwar mera

zahra kaise bhoole dard bhara wo manzar

karbobala ke ban mein...

ek dukhiyari maadar...


haye wo gaysuon waala wo hamara akbar

naiza maara hai sitamgar ne jise seene par

jab mera phool gira jalti hui reti par

lo salaam aakhri baba ko sada di gir kar

boodha baap aaya hai ghutno ke bal chal kar

karbobala ke ban mein...

ek dukhiyari maadar...


wo mera laal wo abbas mera shehzada

bhar ke mashkeeza wo ghazi jo nehr se nikla

dono shaane bhi kate mashk chidi wavaila

aankh mein mere dulaare ke laga teer e jafa

gurz laga jab sar pe mai tadpi ye keh kar

karbobala ke ban mein...

ek dukhiyari maadar...


ay azadaron mere laal ke matamdaron

gham manaate ho mere laal ka mere pyaron

tum na ghabrana musibat mein kabhi dildaron

mere bachon pe karo aah o buka ghamkwaron

aanch na aane doongi mai tum sab ke upar

karbobala ke ban mein...

ek dukhiyari maadar...


dil tadap jaata hai ye soch ke aksar waiz

dekha ek maa ne nigahon se wo manzar waiz

jis ghadi shimr chada seena e sheh par waiz

ro pada gardan e shabbir pe khanjar waiz

royi jab dukhiyari maa ye nauha padh kar

karbobala ke ban mein...

ek dukhiyari maadar...