Kanz e Aza

Furaat ka Pani

A noha written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

tha taraayi pe hashr ka manzar

naizon uchla furaat ka pani


laashe abbas tadpi darya par

naizon uchla furaat ka pani


ran mein ghode se jab gire shabbir

thi bohat dard naak wo tasveer

tadap ke reh gayi janabe sayyeda

jab chada shimr seena e sheh par

naizon uchla furaat ka pani

tha tarayi pe...


laashe abbas e bawafa tadpi

alqama aur karbala tadpi

zameen e karbala ko aaya zalzala

sheh ki gardan pe jab chala khanjar

naizon uchla furaat ka pani

tha tarayi pe...


kat gaya jab hussain ka hulqoom

peet kar royi zainab o kulsoom

tadpati reh gayi ali ki betiyan

kode barse jo dono behno par

naizon uchla furaat ka pani

tha tarayi pe...


jaanibe qaima e shahe waala

durre le le ke jab bade aada

zameene karbala ko aaya zalzala

dekh kar dard naak wo manzar

naizon uchla furaat ka pani

tha tarayi pe...


loot kar maal o zar layeeno ne

jab jalaye hussain ke qaime

tadap ke reh gayi janabe sayyeda

aur abid ka jab china bistar

naizon uchla furaat ka pani

tha tarayi pe...


jab tamache lage sakina ke

aur yateema ke jab chine bunde

tadpati reh gayi ali ki betiyan

jab wo royi chacha chacha keh kar

naizon uchla furaat ka pani

tha tarayi pe...


jab layeeno ne cheen li chadar

apne abbas ko sada de kar

tadpati reh gayi ali ki betiyan

royi jis waqt zainab e muztar

naizon uchla furaat ka pani

tha tarayi pe...


saamne maa ke nanhi turbat se

noke naiza chubho ke zaalim ne

zameene karbala ko aaya zalzala

jab nikaali hai laasha e asghar

naizon uchla furaat ka pani

tha tarayi pe...


dono haathon mein jab bandhi rassi

haye waiz ali ki shehzadi

tadpati reh gayi ali ki betiyan

royi jis waqt apni ghurbat par

naizon uchla furaat ka pani

tha tarayi pe...