Kanz e Aza

Gar Haq ki Justuju

A noha written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

gar haq ki justuju hai to bazme aza may aa

batlaun tujhko majlis o matam hai kyun bapa


haq ki arsh farsh may phaili hui zia

haq kehte hai usay jo hai meezan e kibriya

haq kehte hai jise wo hai emaan e ambiya

haq ki sifat to khaas may hai ek mustufa

gar haq ki justuju…


wo mustufa ke jinka mohamed hai paak naam

wo jinke khaul o fayl se haq ka mila dawam

yani baghair wahi jo karte nahi kalam

quran bata raha hai jo hai inka martaba

gar haq ki justuju…


haq kya hai kya bataun ke wo la hudood hai

aale nabi may noore khuda ka wujood hai

hamd o sana may isliye shaamil durood hai

haq iska hai ye haq kay nahi koi faasla

gar haq ki justuju…


ulfat ba hukme rab thi isi noore ain se

ye baarha suna hai shahe mashraqain se

mera hussain mujhse hai aur mai hussain se

kya farq hai hussain o nabi may raha bata

gar haq ki justuju…


bayyat na ki hussain ne to qatl kar diya

badkar to iske baad ko kyun ghar jala diya

saydaniyo ko loot liya cheen li rida

aale rasool ki thi bhala isme kya khata

gar haq ki justuju…


saydaniyo ke sar thay khule ajdaham may

aseer karke le gaye darbar e aam may

phi bhi na choda qaid kiya ino shaam may

ajre risalat is tarha ummat ne ki ada

gar haq ki justuju…


jispar pahad tootega gham ka wo royega

aayega chain din ko na raton ko soyega

hoga rafeeq joyi to ye haal hoyega

tareekh jab aayegi gham hoyega siwa

gar haq ki justuju…


apne nabi ko gham hai to hum door kyun rahe

lene ko pursa jaate hai girya ko na chale

mil kar anees kyun nahi matam bapa kare

sibte nabi ke gham may hai ye majlise aza

gar haq ki justuju…