asre aashoor tha shabbir the tanhaayi thi
maahe zahra pa ghata zulm ki jab chaayi thi
sheh ko jab noke sina'n sooe zamee'n laayi thi
Girte girte labe zaqmi pa sada aayi thi
Garm rethi pa mai girta hu sambhaalo amma
lut gaya hu mai kisi ki bhi mujhe aas nahi
qatl sab ho gaye ab koi mere paas nahi
mera qasim nahi akbar nahi abbas nahi
tum mujhe aake kaleje se lagaalo amma
Garm rethi pa mai girta hu sambhaalo amma
laash qasim ki uthaai hai nazar zaqmi hai
zaqm akbar ka jo dekha hai jigar zaqmi hai
qalb zaqmi hai badan zaqmi hai sar zaqmi hai
de'n sahaara mujhe baba ko bulaalo amma
Garm rethi pa mai girta hu sambhaalo amma
mai jo ghode se giru'n tum mujhe taskee'n dena
pyaar karna meri himmat ko duaei'n dena
daal kar baahei'n gale me mujhe lipta lena
haa'n dame zib'ha magar haath hataalo amma
Garm rethi pa mai girta hu sambhaalo amma
apne waade ke liye mai ne har eeza sehli
ek armaa'n mera nikle to inaayat hogi
zib'ha ke waqt meri tum se tamanna hai yahi
sar mera qaak se zaanu pa uthaalo amma
Garm rethi pa mai girta hu sambhaalo amma
Ab koi dam me mere halq pa qanjar hoga
aur seene pa mere shimr e sitamgar hoga
qoon ka hona kafan qaak ka bistar hoga
aaqri naaz ye bete ka uthaalo amma
Garm rethi pa mai girta hu sambhaalo amma