hawa ke dosh pe goonji jo ek nayi sada
salaam alaik ibne rasool-e-shahe huda
khuda ka shukr ke deedaar aap ka to hua
tamaam aseeron ne dekha suye dare kufa
jo laash latki hai dar par wo thartharati hai
salaam karne ki awaaz usse aati hai
tadapke naize se farkhe hussain ne ye kaha
alaikum ay watan awaara o qateele jafa
adab se abide bemaar yun hue goya
khubool kijiye muslim chacha salaam mera
suna jo hazrate muslim bine aqeel ka naam
to ek bibi lagi laash se ye karne kalaam
ki zowjaye muslim ne ye fughan
hai mere dono laal kahan
ehwaal karo kuch unka bayan
hai mere dono laal kahan
thay saath jo mere do dilbar
wo fidiya kiye maine haq par
jo saath tumhare thay hai kahan
hai mere dono laal kahan
ki zowjaye muslim...
mai basti basti ja'ungi
aur dhoond ke unko la'ungi
batlaiye kuch to unka nishan
hai mere dono laal kahan
ki zowjaye muslim...
kab tak wo rahe zere saaya
aur kuch to taras un par aaya
kis ghar mein hai ab tak wo mehman
hai mere dono laal kahan
ki zowjaye muslim...
bas itna bata dije waali
dunya to nahi unse khaali
kya milgayi unko jaaye amaan
hai mere dono laal kahan
ki zowjaye muslim...
di laasha e muslim ne ye sada
de sabr ki taaqat tujhko khuda
ho jaayega tujh par jald ayaan
hai mere dono laal kahan
ki zowjaye muslim...
koofe mein anees-e-ehle haram
thay naala kuna waqt-e-matam
sunkar ye sada mehshar tha ayaan
hai mere dono laal kahan
ki zowjaye muslim...