daal do koi zakhmon pe chadar
haye akbar ki maa aa rahi hai
seena akbar ka rakho chupa kar
haye akbar ki maa aa rahi hai
bibiyon mil ke halqa bana lo
maa jawan laal ki hai sambhalo
mar na jaaye wo laashe pe aa kar
haye akbar ki maa...
dekh legi agar umme laila
apne bacche ka zakhmi kaleja
saans bhi le na payegi maadar
haye akbar ki maa...
mannatein maan kar jisko paala
uske seene mein zaalim ka bhaala
kaise dekhegi maadar ye manzar
haye akbar ki maa...
jisko dulha banane ke din thay
jiski shadi rachane ke din thay
usko dekhegi maa khoon mein tar
haye akbar ki maa...
koi armaan dil ka na nikla
lut gayi umme laila ki dunya
bain karne ko laashe jawan par
haye akbar ki maa...
rakh ke qaime mein akbar ka laasha
sar jhuka kar bahot roye maula
jab kaha bibi fizza ne ro kar
haye akbar ki maa...
bain waiz ye qaime mein goonja
dekh le apne yusuf ka laasha
khaak udaati hui peet'ti sar
haye akbar ki maa...