ek daur salami dunya ka sadiyon may aisa aata hai
jab koi payambar uth'ta hai ya koi shahadat paata hai
ay nehrGee furaat afsos kar apni kismat par
kausar ka saaqi aaj tere saahil se pyasa jaata hai
ek daur salami...
sajjad aseer e jaur huwe afsos kisi ne ye na kaha
ye paon sutoon e kaaba hai zanjeer kise pehnata hai
ek daur salami...
seemaab nazar aati hai mujhe har cheez udaas aur aazurdaar
fitrat gham ki hojati hai jab maahe moharram aata hai
ek daur salami...