alwida kul ke madadgaar alwida hyder e karrar
baba ko dafn kar ke jo aaye hasnain
dekha gali mein rota hai koi ba-shor o shain
aaye aur uske pass kaha bhai kya hua
wo ro ke sar patakta tha aur karta tha ye bain
haye wo nahi aaya haye wo nahi aaya
ek faqeer deta tha sada haye wo nahi aaya
teen din ka faqa hogaya haye wo nahi aaya
jab andhera sar pe chaata tha
wo hamare paas aata tha
khaana hum sabhi ghareebon ko
apne haathon se khilata tha
tha ajeeb banda e khuda
haye wo nahi aaya
ek faqeer deta tha...
wo hamara gham gusaar tha
yaadgar e kirdigaar tha
bolta to phool jhadte thay
khamoshi mein rob daar tha
tha zameen pe mazhare khuda
haye wo nahi aaya
ek faqeer deta tha...
kis tarha se ab jiyenge hum
ashk raat din piyenge hum
uske hote fikr hi na thi
khayenge o kya piyenge hum
jaane wo kidhar chala gaya
haye wo nahi aaya
ek faqeer deta tha...
kis taraf kahan pe jaun mai
kis tarha usay manaun mai
apne mohsin o maseeha ko
dhoondh kar kahan se laaun mai
naam tak mujhe nahi pata
haye wo nahi aaya
ek faqeer deta tha...
har taraf udaasi chaayi thi
jaane kaisa din ye laayi thi
aaj subha aasman se
ek sada ajeeb aayi thi
dil dhadak raha hai ab mera
haye wo nahi aaya
ek faqeer deta tha...
sun ke us faqeer ke sukhan
ro pade hussain aur hassan
kahte thay ye sar ko peet kar
uth gaye jahan se bul-hassan
haye wo hi baba tha mera
haye wo nahi aaya
ek faqeer deta tha...
kufe ki zameen hil gayi
sar pe uske taygh chal gayi
maara aisa rozedaar ko
zindagi ki shamma bujh gayi
aasman zameen pe gir padha
haye wo nahi aaya
ek faqeer deta tha...
kab talak ye gham uthayega
ro ke humko bhi rulayega
jisko yaad kar raha hai tu
ab kbhi bhi wo na aayega
humne usko di bahot sada
haye wo nahi aaya
ek faqeer deta tha...
bekasi aur aisi bekasi
lag raha hai aamir aaj bhi
chauda sadiyan hogayi magar
ainee rizvi us faqeer ki
goonjti hai kufe mein sada
haye wo nahi aaya
ek faqeer deta tha...