Kanz e Aza

Farsh Par Rab ki

A noha for Imam Ali (a.s), written by Hashim. Lyrics in Roman Urdu.

farsh par rab ki ye ek ataa hai

bekhata jisko tu maarta hai

kuch khabar hai tujhe ibne muljim

ye zamane ka mushkil kusha hai


isne sajdon pe sajde kiye hai

isne rozon pe roze rakhe hai

iska khana hai ek jau ki roti

iske sone ko ek boriya hai

farsh par rab ki...


peshwa uth gaya hai jahan ka

soone soone hai mehrab o mimbar

kis khamoshi se ghar bhi khuda ka

aaj masroofe aah o buka hai

farsh par rab ki...


dil pe daaghe yateemi sajaye

gham ka paikar hai shabbir o shabbar

jis ko dekho wohi ro raha hai

ghar imamat ka matam kada hai

farsh par rab ki...


kyun rulaata hai aale nabi ko

kya bigaada hai tera ali ne

is sitamgar se hashim ye poocho

kya ye ajre rasool e khuda hai

farsh par rab ki...