ghar mein ahlebait ke matam hai khyber-geer ka
hogaya suraj ghuroob islam ki taqdeer ka
maa ki ulfat cheenli ummat ne kal ki baat hai
aaj baba bhi jahan se uth gaya shabbir ka
ghar mein ahlebait ke...
ibne muljim ne do paara kar diya qalbe rasool
farqe hyder mein utar aaya hai phal shamsheer ka
ghar mein ahlebait ke...
karbala mein us ka hi farzand tarse aab ko
apne qaatil ko pilaye jo pyala sheer ka
ghar mein ahlebait ke...
shama o kufa ke tasavvur mein tadap ke murtaza
tak rahe hai yaas se sar zainab e dilgeer ka
ghar mein ahlebait ke...
thaam kar abbas ka baazu ye hyder ne kaha
karbala mein dhyan rakhna chadare hamsheer ka
ghar mein ahlebait ke...
gardan e hyder mein jo baandhi gayi hai reesma
phir dikhayega falak manzar isi tasveer ka
ghar mein ahlebait ke...
sayyeda ke ghar mein barpa aaj phir kohraam hai
haal hai behaal gham se shabbar o shabbir ka
ghar mein ahlebait ke...