Kanz e Aza

Ghar se Ali ke Ruqsat

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Akhtar. Lyrics in Roman Urdu.

ghar se ali ke ruqsat e khairunisa hui

maula-e-kayanat se zehra juda hui

ghar se ali ke…


zehra ko ek pal bhi sukoon ka na mil saka

baad e rasool us pa wo joro jafa hui

ghar se ali ke…


hasnain bhi udaas hai hyder bhi hai malool

kaabe ke baam o dar pe jo raunaq thi kya hui

ghar se ali ke…


zainab ke sar pa saaya e zehra nahi raha

beti abhi se dehr mein kya berida hui

ghar se ali ke…


fizza tadap ke kehti hai sar apna peet kar

ruqsat jahan se khalq ki haajat rawa hui

ghar se ali ke…


mohsin shaheed hogaye dar is tarha gira

yan karbala se pehle hi ek karbala hui

ghar se ali ke…


jis ka janaza uth'ta hai tareek raat mein

din mein usi ki laqte jigar berida hui

ghar se ali ke…


maula ka ghar ujad gaya zehra guzar gayi

akhtar na pooch kaisi qayamat bapa hui

ghar se ali ke…