Kanz e Aza

Ghar Sakina ka Hai

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Suroor Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

ghar sakina ka hai qaid khana

ab na ho ga watan uska jaana


ro ke ghurbat se boli sakina

jaane waalon hamay bhool jaana

ghar sakina ka hai...


qaid hai aur lehed ka andhera

ab gaya roshni ka zamana

ghar sakina ka hai...


gham sakina ka samjha usi ne

jo parinda hai be-aashiyana

ghar sakina ka hai...


kaise jeeti wo jab ek din mein

lut gaya zindagi ka khazana

ghar sakina ka hai...


jo na ro paayi baba par usko

royega hashr tak ab zamana

ghar sakina ka hai...


teer jitne chale ranj o gham ke

uska masoom dil tha nishana

ghar sakina ka hai...


kamsini mein milay zakhm itne

maut ka ban gaya ye bahana

ghar sakina ka hai...


baap maqtal mein beti lehed mein

ab kahan roothna aur manana

ghar sakina ka hai...


thi amaari sakina ki khaali

khafila jab hua tha rawana

ghar sakina ka hai...


kitni ghurbat mein maut aayi usko

tha kafan uska kurta purana

ghar sakina ka hai...


jaagte jaagte mar gayi wo

jisko dushwaar tha neend aana

ghar sakina ka hai...


yaad karna suroor uski turbat

jab andhere mein shamma jalana

ghar sakina ka hai...