Kanz e Aza

Hussain Bole Sakina se

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Suroor Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

hussain bole sakina se tum na ghabrana

jo neend aaye to maqtal mein tum chali aana


mujhe pata hai bohat zulm dhaaye jayenge

chinegi chadarein qaime jalaye jayenge

magar zuban pa shikwa na meri jaan laana

hussain bole sakina se...


ye wo zameen hai jahan tashnagi ki shiddat hai

tumhare naam yahan aur bhi qayamat hai

yahin milegi tamachon ka tum ko nazrana

hussain bole sakina se...


kahin pe dhoop milegi kahin pe sannate

kahin pe phool milenge kahin kahin kaante

tum apne dil ki tarha aansuon ko behlana

hussain bole sakina se...


sitam jo baaliyan maange to baaliyan dena

rasan kr waaste apni kaliayan dena

na mujhko aur na ammu ko dhoondhne aana

hussain bole sakina se...


sukoon tumse mile to sukoon se mar bhi sakun

phir apne baad ki manzil se mai guzar bhi sakun

yaqeen dilaun ke tum ne mera kaha maana

hussain bole sakina se...


rida chine to mujhe yaad kar ke ro lena

jo neend aaye to mere baghair so lena

khuda ka shukr har ek zulm par baja laana

hussain bole sakina se...


hai tum se meri mulaqaat aakhiri bibi

mai tum se mil nahi paunga ab kabhi bibi

chalakne waala hai ab zindagi ka paimana

hussain bole sakina se...


dilon mein kya hai zamane ka koi theek nahi

koi bhi bekas o mazloom ka shareek nahi

meri behen jahan jaaye wahan chali jaana

hussain bole sakina se...


mohabbaton se bhari tujhse guftugu kar lun

jo dil mein reh gayi zaahir wo aarzoo kar lun

ab aane waala hai meri ajal ka parwana

hussain bole sakina se...


hussain chal diye beti se guftugu kar ke

akele pan mein na rone ki aarzoo kar ke

suroor phir bhi sakina ka dil nahi maana

hussain bole sakina se...