haye o mera ghareeb baba
ay shaam de logon mai sayyed haan
na kafan mila na dafan hua
mera baba pyasa maar diya
haye o mera ghareeb baba
bazaar e shaam ka majma tha
sajjad ghareeb ka nauha tha
kyun baaghi baaghi kehte ho
kya jurm tha mere baba ka
sajde mein namazi qatl kiya
mera baba pyasa maar diya
haye o mera ghareeb...
mera baba shaan e rasoolallah
mera baba jaan e madina tha
chauda baara aur paanch mein bhi
beshak anmol nagina tha
sadaat ke dil ko chaak kiya
mera baba pyasa maar diya
haye o mera ghareeb...
mera baba paak namazi tha
allah bhi jis se raazi tha
mera baba aisa qaari tha
quran bhi jis ka haami tha
sajde mein us par zulm kiya
mera baba pyasa maar diya
haye o mera ghareeb...
pehle to pyar se khat likh ke
dhoke se bulaya baba ko
phir karbobala ke sehra mein
kitna hai sataya baba ko
mehman bana kar loot liya
mera baba pyasa maar diya
haye o mera ghareeb...
batlao kya mera baba
ek kafan ka bhi haqdaar na tha
batlao kya mera baba
nana ka virsadaar na tha
laakho ne us ko ghayr liya
mera baba pyasa maar diya
haye o mera ghareeb...