Kanz e Aza

Ghar May Allah ke

A noha for Imam Ali (a.s), written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

ghar mein allah ke khud uska wali zakhmi hai

jis mein tauheed hai maqbeer wo jali zakhmi hai


ay khuda bach to gayi teri khudaai lekin

ek sajde mein mera maula ali zakhmi hai

ghar mein allah ke...


zarbe taaza to abhi aayi hai us ke sar par

jis ke seene mein jo dil hai azali zakhmi hai

ghar mein allah ke...


ye kisi aur ka sar ay mere mabood nahi

ye koi aur nahi hai ye ali zakhmi hai

ghar mein allah ke...


jis jagah baandhi gayi uske galay mein rassi

jis mein khayncha gaya usko wo gali zakhmi hai

ghar mein allah ke...


matam o girya se faariq nahi koi maujood

aalam e sarmadi o lam yazali zakhmi hai

ghar mein allah ke...


bayyat e silsila e zakhm hai jaari ye naved

har wali ibne wali ibne wali zakhmi hai

ghar mein allah ke...