Kanz e Aza

Haye Shaame Ghariban

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

jis shaam jalaye gaye sadaat ke qayyaam

guzri nahi wo shaam


paywast hai khanjar ki tarha dil pe wo hangaam

guzri nahi wo shaam


sar ban ke rida ban ke sare noke sina hai

shola hai dhuan hai

hai jo tahe zanjeer tahe tauq tahe naam

guzri nahi wo shaam

jis shaam jalaye gaye...


maqtal ka tawaf ab bhi usi tarha hai jaari

ek zauf hai taari

khola hi nahi waqt ne us shaam ka ehraam

guzri nahi wo shaam

jis shaam jalaye gaye...


jis shaam ki ghurbat ne dukhaya dil e sajjad

rulaya dil e sajjad

zainab ne jise shaam e ghariban ka diya naam

guzri nahi wo shaam

jis shaam jalaye gaye...


ye saare azal saare abad jis mein sameine

ab kya kahoo haye

jis mein simat aaya hai har aghaaz har anjaam

guzri nahi wo shaam

jis shaam jalaye gaye...


uth'ti hai wohi aandhiya kat jaata hai seena

phat jaata hai seena

har shaam mujhe yaad dilaati hai wohi shaam

guzri nahi wo shaam

jis shaam jalaye gaye...


jis raakh mein dil mera naved aah daba hai

aur raakh hua hai

us raakh mein reh reh ke bhadakti hai wohi shaam

guzri nahi wo shaam

jis shaam jalaye gaye...