haye sham e ghariban
kunbe ki nigehban ye kehti hai laraz kar
ruk ja sawaar mera lut agya hai ghar
ruk ja ke abhi soye hai bacche mere ro kar
daala jo haath ghaiz se aspe lagaam par
parda utha diya phir ghode ke sawaar ne
zainab ye ro ke kehne lagi baba ke saamne
ab aaye ho baba mere kunba hai ab kahan
haye sham e ghariban...
abbas kho chuki hoo mai akbar pe ro chuki
bhaiya tumhare baad mai barbaad ho chuki
zinda mai kaise reh gayi meri maut hai kahan
haye sham e ghariban...
qasim ki laash tukdon may taqseem ho chuki
bhaiya hassan ki ye bhi nishani bhi mit chuki
dulhan hai ek roz ki dulha hai ab kahan
haye sham e ghariban…
asghar ke hausle pe jawani bhi ro chuki
sookhi zuban pe fauje sitamgar bhi ro chuki
aaghosh may rabab ki asghar hai ab kahan
haye sham e ghariban...
laayi thi apne saath wo ansaar kho chuki
nana tumhare deen pe qurban kar chuki
mai bhi to berida hui chadar hai ab kahan
haye sham e ghariban...
baba mai kya bataun ke kya kya mai seh chuki
bhaiya ki laash teeron ke bistar pe so chuki
bhai ke mer jism pe ab sar bhi hai kahan
haye sham e ghariban...
pyasi sakina bain ye kar kar ke so chuki
ammu hamare kaano se baali bhi chin chuki
kehti hai har tamache pe baba ho ab kahan
haye sham e ghariban...
fauje yazeed shaam ki hadh se guzar chuki
qaime jalaye qaidi bhi hum ko bana chuki
zaalim ye mujhse kehte hai sajjad hai kahan
haye sham e ghariban...
mohsin dua e fatema zahra bhi mil chuki
hyder se har imamon ki kadiyan bhi mil chuki
rehbar ka hum pe haath hai auron ko ab kahan
haye sham e ghariban...