haye wo asr ka hangaam wo maidan e bala
haye wo tauq o rasan uff wo ghareebon ka gala
har taraf chaayi hui zulm o sitam ki wo ghata
jaa ke takraati thi saahil se ye zainab ki sada
tum ne to jaa ke basali hai taraayi abbas
yan rida chin gayi behno ki duhaai abbas
lut'ta hai khaana e khatoone jina dekh to lo
in sulagte huwe qaimon ka dhuaan dekh to lo
paaye abid mein ye zanjeer e garan dekh to lo
pushte khwahar pa ye durron ke nishan dekh to lo
hoti hai shaam e ghariban e watan jangal mein
utho bhaiya ke akeli hai behan jangal mein
kat gaye nakhle gulistane ali tum na uthe
jal gaya qaima e farzande nabi tum na uthe
luti sarkar e rasool e arabi tum na uthe
mera abbas mere sher e jari tum na uthe
kaise ye zulm hua haye gawara tumko
har tamache pa sakina ne pukara tumko
chaahne waale nahi darde jigar baakhi hai
saamne dard ki ek raah guzar baakhi hai
chut gaye hum safari aur safar baakhi hai
ab bhatije hai salamat na pisar baakhi hai
koi manzil hi nahi kaise sukoon paaye behen
bhaiya itna to bata do ke kahan jaaye behen
goonj kar reh gayi jab binte payambar ki sada
sunke faryad koi chaahne waala na utha
daudi maqtal ki taraf binte shahe uqda kusha
kehti thi haye shaheedon ko kafan bhi na mila
pahunchi maidan mein to kis tarha kahun kya dekha
rondte ghodon se shabbir ka laasha dekha
kehke ye baith gayi jisme shahe deen ke khareeb
boli aayi hai teri laash uthane ye hazeen
jald qaime mein mujhe jaana hai ay sarwar e deen
phir sakina ko tamache na lagaate ho layeen
keh ke ye kaampte haathon se sambhali mayyat
ya ali keh ke kaleje se lagaali mayyat