Kanz e Aza

Jal Chuke Qaime

A noha for Shaam e Ghareeba. Lyrics in Roman Urdu.

jal chuke qaime shahe deen ke fiza khamosh hai

huu ka ek aalam hai dashte nainawa khamosh hai

jal chuke qaime...


mehwe hairat hoo zamana kis khadar hai sang dil

sun raha hai karbala ka waqaya khamosh hai

jal chuke qaime...


ghash mein hai bemaar lab ko taab e goyaii kahan

chin rahi hai sar se zainab ke rida khamosh hai

jal chuke qaime...


ya ilaahi kaunsi quwat dil e zainab mein hai

de ke bachon ko shahadat ki dua khamosh hai

jal chuke qaime...


ro to le khul kar zara akbar ko maa hat jaiye

shaahe deen pase adab se maamta khamosh hai

jal chuke qaime...


har qadam par hai jo bhai ki wasiyat ka khayaal

taaziyane khaake binte murtaza khamosh hai

jal chuke qaime...


khoon mein doobi huwi hai sibte paighambar ki laash

kashti e ummat bacha kar na-khuda khamosh hai

jal chuke qaime...


kya kare kis dil se de shabbir marne ki raza

sar jhukaye saamne bhai khada khamosh hai

jal chuke qaime...


aa rahi hai al-atash ki qaima e sheh se sada

sar kataye ghaat par saqqa pada khamosh hai

jal chuke qaime...


maine jab poocha bata kya hai wafa ki inteha

keh ke ya abbas tareekh e wafa khamosh hai

jal chuke qaime...