jal gaye zainulliba ke ghar nazar ke saamne
chin gaye hamsheer ke gohar nazar ke saamne
misle tasveer e payambar akbar e zeeshan ko
maa ne dekha raat bhar rakh kar nazar ke saamne
jal gaye zainulliba ke...
qibla rukh maula ne rakh kar shukr ka sajda kiya
khoon mein dooba laasha e akbar nazar ke saamne
jal gaye zainulliba ke...
bole sarwar kya tumhari maa ko ab doonga jawab
tum to asghar chal basay has kar nazar ke saamne
jal gaye zainulliba ke...
seena e sheh par hai qaatil haye zainab kya kare
chal raha hai halq par khanjar nazar ke saamne
jal gaye zainulliba ke...
bakshishe ummat ki us dam bhi labon par thi dua
kat rahi thi gardan e sarwar nazar ke saamne
jal gaye zainulliba ke...
girti padti bhai ke nazdeek jab pahunchi behan
bhai ka tha laasha e besar nazar ke saamne
jal gaye zainulliba ke...
pani aada ko diya lekin sakina ko nahi
shimr ne pheka hai dikhla kar nazar ke saamne
jal gaye zainulliba ke...
karbala walon pa jo guzri hai anwar wo likha
tha tasavvur mein har ek manzar nazar ke saamne
jal gaye zainulliba ke...