Kanz e Aza

Lutgaya Aap ka Ghar

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Anwar Zahir. Lyrics in Roman Urdu.

lut gaya aap ka ghar aap kahan thay baba

kat gaya shaah ka sar aap kahan thay baba


baap se shaam e ghariban ye kaha zainab ne

mil gaya khaak may ghar aap kahan thay baba

lut gaya aap ka ghar...


teer asghar ke laga barchi ali akbar ke

bichde sab noor e nazar aap kahan thay baba

lut gaya aap ka ghar...


mere bhaiya ne uthaye hai sehar se laashe

jhuk gayi sheh ki kamar aap kahan thay baba

lut gaya aap ka ghar...


laash farzand ki sarwar ne uthayi kaise

ujdi aagosh e pisar aap kahan thay baba

lut gaya aap ka ghar...


shaah girte thay tanabo may ulajh kar har soo

sunke awaaz e pisar aap kahan thay baba

lut gaya aap ka ghar...


jab mere bhai ke seene pa chada tha qaatil

amma aayi thi magar aap kahan thay baba

lut gaya aap ka ghar...


jab chini meri rida dhoond rahi thi har soo

aap ko meri nazar aap kahan thay baba

lut gaya aap ka ghar...


aag daaman se sakina ke bujhayi maine

jal gaye qaime idhar aap kahan thay baba

lut gaya aap ka ghar...


pehra mai ujhdi baharon ka diye jaati hoo

chip gaye shams o qamar aap kahan thay baba

lut gaya aap ka ghar...


beti hyder ki thi masroof e shikayat anwar

mil gaya khaak may ghar aap kahan thay baba

lut gaya aap ka ghar...