Kanz e Aza

Jis Zulm se Shabbir

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Salik Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

jis zulm se shabbir ke qaimon mein lagi aag

aisi to kisi daur mein dekhi na suni aag

jis zulm se shabbir ke...


angaron pe matam tera hum karte hai shabbir

ye bhi tera ejaaz hai jo phool bani aag

jis zulm se shabbir ke...


sar de to diya tune shahe shaah e shariyat

jo tune lagayi thi wo roke na ruki aag

jis zulm se shabbir ke...


abbas ki talwaar hai tasveer e qayamat

wo kaamp ke bijli giri wo dekho lagi aag

jis zulm se shabbir ke...


abbas ki talwaar se barsa lahoo itna

darya se dhuan utha taraai mein lagi aag

jis zulm se shabbir ke...


ay doshe mohamed ke makeen pabaye emaan

sajdon se tere seena e baatil mein lagi aag

jis zulm se shabbir ke...


deti hi rahi shola jahannam ki taraf se

jo bughze ali mein yehi jalti hi rahi aag

jis zulm se shabbir ke...


bijli ki tarha khoon rawan hogaya dil mein

salik ghame shabbir ki yun daud gayi aag

jis zulm se shabbir ke...