Kanz e Aza

Namazi Zere Khanjar

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Salik Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

namazi zer e khanjar aa raha hai

zameen se aasman takra raha hai

namazi zer e khanjar...


utha to li jawan bete ki mayyat

shahe waala ko chakkar aa raha hai

namazi zer e khanjar...


shahe deen teer khaate ja rahe hai

lahoo tan se tapakta jaa raha hai

namazi zer e khanjar...


badho darya ki maujon leke saaghar

ali ka sher pyasa aa raha hai

namazi zer e khanjar...


wo moti ban raha hai sheh ke gham may

in aankhon may jo aansu aa raha hai

namazi zer e khanjar...


ishaare madhe maula ke hai salik

wo kausar saamne lehra raha hai

namazi zer e khanjar...