Yu'n Maadare Shabbir pareshaan hai bann me
Rothi hai tadapti hai wo hairaan hai bannme
Kehti hai ke duniya Meri veeraan hai bannme
Hai LaalMera aaj laeeno'n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale
Sar ek hai lekin hain talabgaar hazaaron
Tanha Mera Shabbir sitamgaar hazaaron
Ek jaan pa toote hain jafa kaar hazaaron
Hai LaalMera aaj laeeno'n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale
Mazloom ke bachne ki koi aas nahi'n hai
Sab margaye hamdard koi paas nahi'n hai
Akbar nahi'n Qasim nahi'n Abbas nahi'n hai
Hai LaalMera aaj laeeno'n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale
Badhte huwe aate hain idhar barchhion waale
Koi bhi nahi'n jo MereBachche ko bachaale
Hai koi jo is Maadare bekas ki Dua le
Hai LaalMera aaj laeeno'n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bullae
Sadd'haif wo hai nargha-e aada me giraftaar
Teero'n ki hai bochhaar to shamsheer ke hain waar
Lo jhoomta hai pushte faras par MeraDildaar
Hai LaalMera aaj laeeno'n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale
Hilti hai zami'n aur falak hota hai larzaa'n
Khaime se nikal aayi hai Zainab suwe Maida'n
Hone laga Bachche ke Mere qatl ka saamaa'n
Hai LaalMera aaj laeeno'n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale
Baade Shahe Mazloom Mujahid ye hua tha
Sab jal gaye khaime ye falak dekh raha tha
Naoha yehi Zehra ka faqat goonj raha tha
Hai LaalMera aaj laeeno'n ke hawaale
Nazdeek Najaf hai koi Haidar ko bulale