Kanz e Aza

SHABBIR KAHAN HAI MERA SHABBIR KAHAN HAI

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mujahid Hussain and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Zehra ki Sada thi Mera Dilgeer kahan hai


Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai


Is dasht me Dhoondu'n Main kahan Apne Pisar ko

Rasta bhi sujhaai nahi'n deta hai nazar ko

Kab tak phiru'n thaame huwe Main Apne jigar ko

Koi to bataade Shahe Dilgeer kahan hai


Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai


Sar peet'ti Rothi rahi maqtal me Main Dukhiya

Zalim ne Mere Lal pa kuch rehm na khaya

Sar Tan se juda kar diya Bekas ka Khudaya

Wo khoon me doobi hui tasweer kahan hai


Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai


Laashe hain Shaheedo'n ke yu'n maidaan me saare

Jis tarha se bikhre huwe Qur'an ke Paare

Zalim ne kiye Qalbo Jigar chaak Hamaare

Wo bolte Qur'an ki Tafseer kahan hai


Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai


Lut jaaungi is tarha ye soncha bhi nahi'n tha

Aankhon ke Mere saamne chhaya hai andhera

Tha Noor jo aankhon ka hua door wo aisa

Sar ta ba qadam paikare tanweer kahan hai


Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai


Hai Jism bhi paamaal Tera aye MereDilbar

Rote hain sabhi hooro malak arshe bari'n par

Hai khaak pa begoro kafan Sibte Payambar

Urya'n hai Badan Chaadare Tatheer kahan hai


Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai


Kehti thi Mujahid yehi bas Maadare Shabbir

Jaau'n Main kahan haay Khuda kya karu'n Tadbeer

Karbal me luti hai Meri Duniya Meri jaagir

Akbar hai kahan haay wo Besheer kahan hai


Shabbir kahan hai Mera Shabbir kahan hai