Kanz e Aza

Shabbir ne Deene

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

shabbir ne deene haq ke liye

ghar bhar ko luta kar chod diya

bano ke muqaddar ka taara

turbat mein chupa kar chod diya

shabbir ne deene haq...


asghar ke liye betaab hui

aur qaime ke dar tak jab aayi

kya jaaniye maa ne kya dekha

parde ko utha kar chod diya

shabbir ne deene haq...


pehle to utha kar akbar ko

shabbir ne zakhme dil dekha

jab nana ki ummat yaad aayi

seene se laga kar chod diya

shabbir ne deene haq...


mashqeeza chida meinoos hui

majboor thay aakhir kya karte

abbas ne apne dil ka lahoo

pani mein mila kar chod diya

shabbir ne deene haq...


peedi mein jawan ke laashe ko

shabbir kahan tak le jaayein

suraj ki tarha jab dil dooba

maqtal mein lita kar chod diya

shabbir ne deene haq...


teeron se chamakte bhalon ne

akbar ka kaleja cheer diya

tasweer e nabi ko ummat ne

rangeen bana kar chod diya

shabbir ne deene haq...