shabbir pa ye kaisi qayamat ki ghadi hai
reti pa padi laash-e-jawa'n khoo'n me bhari hai
zainab ki tamanna tha jo laila ka dil o jaa'n
us noujawan ke seene me barchhi ki ani hai kyu'n haath hai seene pa ye shabbir ne puchha
akber ne kaha barchhi ki takleef badi hai
ye aakhri khwahish thi ke sughra ka ho deedar
dekhe jo raah takti behen dar pa khadi hai
akber se bohat milne ko behchain hai laila
hojaye mulaqaat yahi sheh ki sayi hai
bachchou se kaha lasha-e-akber ko uthao
lillah shah-e-dee'n ki musibat ye badi hai
kya haal hua hoga hussain ibne ali ka
hichki ali akber ne junhi mout ki li hai
ye kehke shah e waala ne thaama hai jigar ko
maara gaya karbal me jo hamshakle nabi hai
akber tere marne se dikhayi nahi deta
abbas ke marne se kamar toot gayi hai
barchhi se jigar chaak pidar bete ka dekhe
kaisa ye fasih sabr-e-dil o jaan e ali hai