Kanz e Aza

Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate

A noha (2015). Lyrics in Roman Urdu.

Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate


Do jag ke palanhaar

Kul hind ke awtaar

Shabbir mere aka

Shabbir mere maula

(Hriday me jagah pate

Jeevan me jagah pate


Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate)x2


(Kuch kal na pad jata

Sansar me pani ka)x2

Do boond agar zalim...x2

Asgar ko pila jate


Shabbir Madinay se gar Hind me aajate

Hriday....

Jeevan...

Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate


Un logon ne maula ko katon pe chalaya tha...x2

Palkon ko bichate hum ...x2

Jis aur bhi woh jate


Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate

Hriday...

Jeevan....

Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate


Ganga ke kanare par Gazi ka alam sajta ...x2

Is Ganga ki shobha ko...x2

Woh ake badha jate


Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate

Hriday...

Jeevan.....

Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate


Is desh me aa jata  sundar sa parivartan....x2

Har dharm ki janta ko....x2

Khud kalma padha jate


Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate

Hriday....

Jeevan....

Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate


Shabbir ko janta ki chahat na agar hogi....x2

Na god ke palon ko ....x2

Maati me mila jate


Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate

Hriday......

Jeevan....

Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate


Shabbir ke bacchon ke yu naazon uthate ham....x2

Aakash ke taaron ko...x2

Charnon me bicha jate


Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate

Hriday....

Jeevan....

Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate


Bali na koi chinti chinti na koi chadar...x2

Ravan ke pujari na....x2

Khaymon ko jala jate


Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate

Hriday  ....

Jeevan....

Shabbir Madinay se gar Hind me aa jate....x2