Kanz e Aza

Shabbir Khuda Hafiz Shabbir Khuda Hafiz

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Shabbir Khuda Hafiz, Shabbir Khuda Hafiz

Aye Jaan O Dil E Hyder, Shabbir Khuda Hafiz

Aye Fatima Ke Dilbar, Shabbir Khuda Hafiz

1. Shabbir Tere Gham Ko Hum Kaise Bhulayenge

Karbal Ki Kahani Hum Duniya Ko Sunayenge

Taa Zeesth Tera Matam Hum Dil Se Manayenge


Sadma Hai Bahot Dil Par, Shabbir Khuda Hafiz


2. Humshakl E Payamber Bhi Hote Hai Juda Hum Se

Abbas E Dilawar Bhi Hote Hai Juda Hum Se

Aur Qasim O Akber Bhi Hote Hai Juda Hum Se


Sadma Hai Bahot Dil Par, Shabbir Khuda Hafiz


3. Phir Aab Ke Moharam Me Aayenge Mere Maula

Saath Apne Bahatar Ko Layenge Mere Maula

Mashghool E Buka Hum Ko Payenge Mere Maula