Kanz e Aza

Shabbir ko sar dekar islam bachaana hai

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Shabbir ko sar dekar islam bachaana hai

Kounain hai qadmo'n pa rethi pa thikaana hai

akbar pa nazar daalo qasim ki taraf dekho

marne ke iraade hai jeene ka zamana hai


shabbir ke hatho ka bosa to koi lele

nanhe se mujaahid ko maidaan me laana hai

dekha hi abhi kya hai dunya ki nigaaho ne

rakh kar abhi haatho par dil apna dikhaana hai


Kousar ke ye maalik hai paani ki talab kaisi

soi hui millat ki gheerat ko jagaana hai

ummat ki mohabbat me bacho ko fida karke

dunyaa-e-mohabbat ka qanoon banaana hai


ye kis ne jhukaaya hai sar taa'ate qaaliq me

kya sar hai ke sajde se qaatil ko uthaana hai

ahmad ka nawasa hai meraaj bhi paayega

naize ki bulandi se quraan sunaana hai


lafzo'n se hukoomat ki bunyaad hilaani hai

sajjad ko zaalim ke darbaar me jaana hai

Ab apne ghulaamo se shabbir ka pursa lei'n

Ae saahebe gham aaja ek din tujhe aana hai


islaam ko deni hai har saal hayaate nao

kya toone kaha ghaafil ye zikr puraana hai