Kanz e Aza

Shabbir Naujawan ke

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Ashraf. Lyrics in Roman Urdu.

shabbir naujawan ke laashe pe aa rahe hai

karbobala may aada khushiyan mana rahe hai


abbas uth ke dekho ye bebasi ka aalam

akbar ki laash sarwar tanha utha rahe hai

shabbir naujawan ke…


karbobala ke ban may hai kis khadar khamoshi

bhai ko khat behan ka sarwar suna rahe hai

shabbir naujawan ke…


sarwar ki hai zaeefi aur naujawan pisar hai

mayyat utha to li hai par ladkhada rahe hai

shabbir naujawan ke…


mayyat jawan ki rakh ke qaime may shaahe waala

cheh maah ke pisar ko maidan may laa rahe hai

shabbir naujawan ke…


ya rab kahin sakina gham se guzar na jaye

akbar ki laash sarwar qaime may laa rahe hai

shabbir naujawan ke…


sookhi zaban dikha ke haaton pe shaahe deen ke

fauje adoo ko asghar ran may rula rahe hai

shabbir naujawan ke…


qaime ke dar se maa ne dekha ajeeb manzar

teere sitam se asghar sheh ko bacha rahe hai

shabbir naujawan ke…


jo aashna hai ashraf mehboobe kibriya se

aulaad e fatema ka wo gham mana rahe hai

shabbir naujawan ke…