Chaltay Hai Har Taraf Sey Kai Teer Ya Ali
Nargay May Zalimoun Kay Hai Shabeer Ya Ali
Zainab Kay Bhi Dularou Kay Lashay Uthae Hai
Apnau Kay Doston Kay kai Gham Bhi Khae Hai
Jhulay Say Run Mai Asghar-e-Muztar ko Laae Hai
Jalti Zameen Pai Layta Hai Baisheer Ya Ali
Nargay May Zalimoun Kay Hai Shabeer Ya Ali
Tanha Hai Ab Hussain wo Akbar Kaha Gae
Thay Saat Jinkay Sab wo Dilawar Kaha Gae
Abbas sa wo Sher wo Yawar Kaha Gae
Sab mar gae Hai Haye Jawan Peer Ya Ali
Nargay May Zalimoun Kay Hai Shabeer Ya Ali
Charon Taraf Say Ghairtay Thay Dushman-e-Deen
Phir Shah-e-Deen Nay Ulthi hai Apni Bhi Asteen
Shamsheer Woh Chalae Kay Bhagay Sabhi La'een
Jaisay Chali ho Apki Shamsheer Ya Ali
Nargay May Zalimoun Kay Hai Shabeer Ya Ali
Faujay Kasheer Aur Woh Tanha Hussain Thay
Teeron KA Barchion ka Nishana Hussain Thay
Ghoday Say Phir Zameen Paa Agha Hussain Thay
Awaz Maa Ko Detay Thay Dilgeer Ya Ali
Nargay May Zalimoun Kay Hai Shabeer Ya Ali
Yun Aaya Hai La'een Qari-e-Bay Shahay Anaam
Khanjar Lia Tha Haat Mai Badhta Tha Teez Gham
Ghurbath Sey Dekhtay Rahay Qatil Ko Phir Imam
Nargay May Zalimoun Kay Hai Shabeer Ya Ali
Nargay May Zalimoun Kay Hai Shabeer Ya Ali
Hilnay Lagi Zameen toh Larzaa Tha Asmaan
Charon Taraf Ghubaar Tha Chalti Thi Andhiya
Sar Kat Gaya Hussain Ka Mehshar Tha Alaama
Zainab Tadapti Reh Gayi Dilgeer Ya Ali
Nargay May Zalimoun Kay Hai Shabeer Ya Ali
Kaisay Mujahid Ab ho Bayan Aur Kya Huwa
Naizay Pay Sar Hussain Ka Yarab Buland Tha
Gham se Nidhal Abid-e-Mazloom Wo Bey D'waa
Ahle Haram ki Howey Gee Tasheer Ya Ali
Nargay May Zalimoun Kay Hai Shabeer Ya Ali