sajjad kaise bhoolein ghurbat ka wo zamana
haye wo qaid khana haye wo qaid khana
beparda bibiyon ka baalon se moo chupana
haye wo qaid khana haye wo qaid khana
aankhon mein bas gayi zindan ki udaasi
baba ko dhoondti hai mazloom ek pyasi
dukhiya ka khauf se wo abbas ko bulana
sajjad kaise bhoolein...
bhooli nahi sakina bazaar ka wo manzar
patthar baras rahe thay majboor qaidiyon par
wo shimr ke tamache zaalim ka taziyana
sajjad kaise bhoolein...
mazloom qaidiyon ko abid na bhool paaye
hat'ta nahi nazar se bazaar e shaam haye
bemaar saarban ka aankhon se khoon bahana
sajjad kaise bhoolein...
pyasi sakina hum se afsos haye bichad gayi
har lab pe tha ye nauha ruqsat ki ye ghadi hai
zindan se watan jab qaidi huwe rawana
sajjad kaise bhoolein...
ab bhi muhib musalsal bemaar ro raha hai
aale nabi ke ghar mein farshe aza bicha hai
ye bain kar raha hai sadaat ka gharana
sajjad kaise bhoolein...