boli darbar may ye binte nabi
jaa ke baba ko sab bataungi
tum ne tauheen ki meri kitni
jaa ke baba ko sab bataungi
ek din wo tha dekh kar mujhko
apne mimbar se uth gaye baba
ek ye din hai mere aane par
koi tazeem ko nahi utha
kitni ummat badal gayi unki
jaa ke baba ko sab...
boli darbar may...
mujhko darbar my khada rakh ke
kar rahe wo kalaam has has ke
haye afsos meri zainab ke
saamne keh rahe ho jhoota mujhe
tum ne tehreer chaak ki unki
jaa ke baba ko sab...
boli darbar may...
dekh kar mujhko poochenge baba
zakhm chehre pe kaisa aaya hai
mai bataungi poori taaqat se
kisne moo par tamacha maara hai
gir gayi kaise kaan ki baali
jaa ke baba ko sab...
boli darbar may...
oonchi awaaz se mere dar par
tum ali ko bulaye jaate thay
mai thi behosh jalte dar ke talay
aur dar par se tum guzarte rahe
jhuk gayi kis tarha kamar meri
jaa ke baba ko sab...
boli darbar may...
jisne azaad qaidiyon ko kiya
tum ne usko bana diya qaidi
jisne kuffaar se bachaya tha
uski gardan may daal di rassi
be-wafayi ki inteha kar di
jaa ke baba ko sab...
boli darbar may...
mai shikayat karungi baba se
kisne zehra pe haath uthaya hai
kisne pehlu pe thokare maari
kisne mohsin ko mere maara hai
ek bhi shakl mai nahi bhooli
jaa ke baba ko sab...
boli darbar may...
mir sajjad kya bayan ho bhala
ghar may jab aayi laut kar zehra
hoke bechain poochte thay ali
bolo darbar may hua kya kya
sirf ro ro ke bibi kehti rahi
jaa ke baba ko sab...
boli darbar may...