Kanz e Aza

Maare Gaye Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mohib Fazli. Lyrics in Roman Urdu.

ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain


ran may hai zer e khanjar zehra ka noor e ain

fizza ka hai ye nauha maare gaye hussain


zakhmi badan hai saara pyasa lahoo lahoo hai

saydaniyo ka ran may ye bain char soo hai

rahwaar se gira hai ab fatema ka chain

ran may hai zer e khanjar...


ay shimr jis galay par khanjar chala raha hai

ye teen din ka pyasa farzande mustafa hai

zehra ka laal hai ye khaliq ki zeb o zain

ran may hai zer e khanjar...


afsos fatema ki sarkar lut gayi hai

pyasi sakina kab se awaaz de rahi hai

dukhiya ko tujhse chut kar aayega kaise chain

ran may hai zer e khanjar...


mazloom bekafan ka laasha zameen par hai

tan khaak par pada hai noke sina pe sar hai

pamaal ho chuka hai ab laasha e hussain

ran may hai zer e khanjar...


pehlu shikasta bibi kab tak sitam uthaye

koi nahi hai kisko wo haal e gham sunaye

ek laashe bekafan par karti rahi ye bain

ran may hai zer e khanjar...


bikhre huwe zameen par laashe pade huwe hai

beparda bibiyan hai qaidi khade huwe hai

ahle haram ka ran may barpa hai shor o shain

ran may hai zer e khanjar...


bemaar par ghashi hai bistar bhi jal chuka hai

abbas aao zainab balwe may berida hai

jalte huwe qayaam se utha ye shor o shain

ran may hai zer e khanjar...


mehshar talak mohib ye matam rahega jaari

armaan e sayyeda hai girya ye aah o zaari

emaan farhse gham hai matam hai nasb o laiin

ran may hai zer e khanjar...